Apne hathon ki lakeeron mein basa le mujh ko

Apne hathon ki lakeeron mein basa le mujh ko
main hun tera to naseeb apna bana le mujh ko
mujh se tu puchne aya hai wafa k maani
ye teri sada dili maar na dale mujh ko
main samandar bhi hun moti bhi hun gotazan bhi
koi bhi naam mera le k bula le mujh ko
tu ne dekha nahi aainay se agay kuch bhi
khudaparasti mein kahin tu na ganwa le mujh ko
kal ki baat aor hai main ab sa rahun ya na rahun
jitna ji chahe tera aj sata le mujh ko
khud ko main baant na dalun kahin daman daman
kar diya tu ne agar mere hawale mujh ko
main jo kaanta hun to chal mujh se bacha kar daman
main hun gar phool to jooray mein saja le mujh ko
main khule dar k kisi ghar ka hun saman pyare
tu dabe paon kabhi aa k chura le mujh ko
tark-e-ulfat ki qasam bhi koi hoti hai qasam
tu kabhi yaad to kar bhoolnay wale mujh ko
bada phir bada hai main zehar bhi pi jaun "Qateel"
shart ye hai koi bahon mein sambhale mujh ko


Comments

Popular Posts