Aap Baithe Hain Balin Peh Meri, Maut Ka Zoor Chalta Nahi Hai [LYRICS]
Mohabbat Ki Koi Manzil Nahi Hai, Mohbbat Mouj Hai Saahil Nahi Hai
Meri Afsurdagi Peh Hanse Wale, Tere Pehlo Mein Shayad Dil Nahi Hai
Ajj Hum Nay Younhi Khushi Karli, Dil Jala Kar Hi Roshni Karli
Aatay Jatay Raha Karo Sahib, Aanay Janay Main Kyun Kami Kardi
Doob Kar Teri Neeli Ankhoon Main, Ghark Humne To Zindagi Karli
Ek Fakat Teri Dosti Ka Liya, Sari Duniya Say Dushmani Karli
Sar Jis Pe Na Jhuk Jaye, Ussay Dar Nahi Kehtay
Her Dar Pe Jo Jhuk Jaye, Ussay Sar Nhai Kehtay
Kya Tujh Ko Jahan Walay Sitamgar Nahi Kehtay
Kehtay Hongay Lakin Teray Mohn Pe Nahi Kehtay
Kabay Main Her Ek Sajaday Ko Kehtay Hain Ibadat
Maikhane Main Her Jaam Ko Sagar Nahi Kehtay
Kabay Main Muslman Ko Bhi Keh Daite Hain Kafir
Maikhane Main Kafir Ko Bhi Kafir Nahi Kehtay
Jo Nazar Aar Paar Ho Jaye, Wohi Dil Ka Qaraar Hojaye
Apni Zulfoon Ka Daal Do Saya, Teergi Khushgawar Hojaye
Teri Nazroon Ko Daikh Paye Agar, Shaikh Bhi Maigusaar Hojaye
Tujh Ko Daikhe Jo Ek Nazar Foran, Chand Bhi Sharam Saar Hojaye
Aaina Apne Saamne Se Hata, Yeh Na Ho Khud Se Pyar Hojaye
Maut Kiss Tarha Aye Bali Per, Tu Agar Ek Baar Hojay
Aap Baithe Hain Balin Peh Meri, Maut Ka Zoor Chalta Nahi Hai
Maut Mujh Ko Gawara Hai Lakin, Kya Karoon Dum Nikalta Nahi Hai
Yeh Adda Yeh Nazakat Brasil, Mera Dil Tum Pe Qurban Lakin
Kya Sambhalo Gay Tum Mera Dil Ko, Jab Yahan Anchal Sambhalta Nahi Hai
Mere Naloon Ki Sunn Kar Zubanain, Hoongay Maum Kitni Chatanain
Mainne Pighla Diya Pathroon Ko, Ek Tera Dil Pighalta Nahi Hai
Shaikh Ji Ke Nasiyat Bhi Achi, Baat Waiz Ki Khoob Lakin
Jab Bhi Chati Hai Kali Ghatayain, Bin Piyae Kam Chalta Nahi Hai
Daikh Lay Meri Maiyat Ka Manzar, Loug Kahanda Badlatay Chalaya Hain
Ek Teri Bhi Doli Chali hai, Koi Kahanda Badlata Nahi Hai
Maikdha Ke Sabhi Peenay Walay, Larkhara Kar Sambhlatay Hain Lakin
Teri Nazroon Ka Jo Jaam Pee Le, Umer Bhar Wo Sambhlata Nahi Hai
Aap Baithe Hain Balin Peh Meri, Maut Ka Zoor Chalta Nahi Hai
Comments