Main aur chand

Aaj kal
batain kartay hain
raat gaye tak
main or chand
kuch qissay wo kehta hai
kuch dard-e-judai main kehta hoon
or kehtay kehtay so jate hain
main or chand
wo bhi yaad ka mara huaa hai
main bhi bichar k choor choor hoon
bahon main dal ke bahain rotay hain
main or chand
deep jala kar chahat ka
wo rotay rotay hasta hai
main hastay hastay rota hoon
dono hi aankhain bhigote hai
main or chand



Comments

Popular Posts