Labon Pe Phool Khilte Hain Kisi K Naam Se Pahle
Labon Pe Phool Khilte Hain Kisi K Naam Se Pahle,
Dilon K Deep Jalte Hain,Chiragh-E-Shaam Se Pahle,
Kabhi Manzar Badalne Per Bhi Qisa Chal Nhi Pata,
Kahani Khatam Hui Hai Kabhi Anjaam Se Pahle,
Yahi Taare Tumhari Aankh Ki Chilman Me Rahte Hain,
Yahi Soraj Nikalta Tha Tumhare Naam Se Pahle,
Dilon Ki Jaghmagati Bastiyan Ta'raaj Karte Hain,
Yahi Jo Log Lagte Hain Aam Se Pahle,
Hui Hai Shaam,Jangal Me Prinde Loat'te Hon Gay,
Ab Unko Kis Tarhan Rokain Nawah-E-Daam Se Pahle,
Ye Sare Rang Murda Thay Tumhari Shakal Banane Tak,
Ye Sab Lafz Mohmil Thay Tumhare Naam Se Pahle,
Howa Hai Wo Ager Musif To Amjad Ahtiyatan Hum,
Saza Tasleem karte Hain Kisi Ilzaam Se Pahle,
By:Amjad Islam Amjad

Comments