Ik umar ke baad us ko dekha Aankhon mein sawaal they hazaaron

Ik umar ke baad us ko dekha,
Aankhon mein sawaal they hazaaron,
Honton pe magar wohi tabasum,
Chehrey pe likhi huyi udaasi,
Lehjey mein magar balaa ka thehrao,
Awaaz main goonjti judai,
Baanhen thi magar wisaal-e-samaan,
Simtti huyi baazuyon mein,
Taa’der mein sochti rahi thi,
Kis abr-e-gurez paa ki tarah,
Main kis shajar se katt gayi thi,
Kis chaaon ko tark kar diya tha,
Main us ke galey lagi huyi thi,
Woh ponchh raha tha mere aansu,
Lekin barri dair ho chuki thi


Comments

Popular Posts