Apne Ghar Ki Khirki Se Main Aasmaan Ko Dekhon Ga
Apne Ghar Ki Khirki Se Main Aasmaan Ko Dekhon Ga,
Jis Per Tera Naam Likha Hai Us Taare Ko Dhondon Ga,
Tum Bhi Her Shab Diya Jala Kar Palkon Ki Dahleez Pe Rakhna,
Main Bhi Roz Aik Khawab Tumhare Shaher Ki Janib Bhaijon Ga,
Hijar K Darya Me Parhna Lehron Ki Tahreerain Bhi,
Pani Ki Lehron Pe Main Kuch Dil Ki Baaten Likhon Ga,
Jis Tanha Pair K Neeche Hum Baarish Me Bheegay Thay,
Tum Bhi Usko Chu K Ghuzarna Main Bhi Us Se Lipton Ga,
Khawab Musafir Lamhon K Hain Sath Kahan Tak Jain Gay,
Tum Ne Bilkul Theek Kaha Hai Main Bhi Ab Kuch Sochon Ga,
By:Amjad Islam Amjad

Comments