Nadi kinaray khawb para tha

Nadi kinaray khawb para tha
toota phoota, bay sudh, bay kal
seepi chuntay chuntay main bhi janay kiyoon choo bethi us ko
ye ehsaas huaa k us main rooh abhi tak jaag rahi hai
haath ko meray us ki harat dheeray dheeray taap rahi thi
tab aghosh main us ko uthaya
ik onthi kashti k neechay thora sa rakha tha saya
narm si geeli rait ka main nay bistar aik bichaya
saans diya honton say us ko tub kuch hosh main aaya
aakhri khawhish mujh ko day kar
neend hamesha ki ja soya apnay dukh ko mujh main boya
us ki jalti aag main bhun kar main wo aakhri khawhish lay kar
saray badan ko phoonk chuki hoon lekin meri rooh bachi hai
door usi darya k kinaray aaj bhi bethi soch rahi hoon
shayad seepyan chuntay chuntay koi mujhe bhi chun kar lay jaye
thandi rait pay khawb bichaye
meray band papotay choo kar shayad wo ojhal ho jaye
gehri gehri jheel ki teh say kabhi na bahar aanay paye


Comments

Popular Posts