Ilaahi ! tark e mohabat na raas aaye mujhe

Ilaahi ! tark e mohabat na raas aaye mujhe,,
Ghareeb dil se baghawat na raas aaye mujhe,,
Kahin unhein bhi tarapna parhe na mere kliye,,
Khuda kare ke mohabat na raas aaye mujhe,,
Ghirri jo bark e musarat to gham ki mujhe kader hui,,
Mein keh uttha ke musarat na raas aaye mujhe,,
Tarap tarap kar bamushkil unhein bhulaaya hai,,
Maza to jab hai ye zehmat na raas aaye mujhe,,
Teri nighaah e inayat pe mein nisaar magar,,
Teri nighaah e inayat na raas aaye mujhe,,
Sahe na jayeinghe unki nadamaton ki rasam,,
Ilaahi! juram e shikayat na raas aaye mujhe,,
Jo doosaron ke ghamon se bana de beghaana,,
Aisi musarat na raas aaye mujhe............................

Comments

Popular Posts