Samandar main utarta hoon to aankhain bheeg jaati hain,

Samandar main utarta hoon to aankhain bheeg jaati hain,
Teri aankhon ko parhtaa hoon to aankhain bheeg jaati hain.
Tumhara naam likhnay ki ijaazat chhen gaee jab say,
Koi bhi lafz likhta hoon to aankhain bheeg jaati hain.
Teri yaadon ki khushboo khirdkyo'n main raqs karti hai,
Tere gham main sulagta hoon to aankhain bheeg jaati hain.
Main has k jhail letaa hoon judaee ki sabhi rasmein,
Gale jab us k lagta hoon to ankhein bheeg jaati hain.
Na jaane ho-gayaa hoon is qadar hassaas main kub say,
kisi say baat kartaa hoon to ankhein bheeg jaati hain.
Wo sab guzre hue lamhaat mujhko yaad aatay hain,
Tumhare khat jo parhtaa hun tu aankhen bheeg jati hain.
Main saaraa din bohot musroof rehtaa hoon magar ju'nhii,
Qadam chokhat pe rakhta hoon to aankhein bheeg jaati hain.
Har ek muflis k maathay par alam ki daastaanain hain,
Koi chehra bhi parhtaa hoon to ankhein bheeg jaati hain.
Barde logon k oo'nchay badnuma or sard mehlo'n ko,
Gareeb aankhon se takta hun tu aankhen bheeg jati hain.
Tere koochay se ab mera ta'alluq waajbi sa hai,
Magar jb b guzarta hun tu aankhen bheeg jati hain.
Hazaaron mausumon ki hukmaraani hai mere dil per,
Wasi main jab bhi hasta hoon to ankhein bheeg jaati hain.



Comments

Popular Posts