Qissy meri ulfat ky jo marqoom hain saary
Qissy meri ulfat ky jo marqoom hain saary,
Aa dekh Tere naam sy mosoom hain saary,
Bus is liye hr kaam adhora hi para hai,
Khaadim bhi meri Qoum k makhdoom hain saary,
Ab kon mery paaon ki zanjeer ko khooly,
Haakim meri basti k bhi mehkoom hain saary,
Shaed yeah zarf hai jo khaamosh hon ab tak,
warna tou tery aeib bhi maloom hain saary,
Sab jurm meri zaat sy mansoob hoay Mohsin,
Kiya mery siwa shehr mai masoom hain saary...

Comments