Bohat Aaraam karna Chati Hun Yehi Ek kaam karna Chahti Hun

Bohat Aaraam karna Chati Hun
Yehi Ek kaam karna Chahti Hun

Shaoor_E_Aagahi Almiaa Hai
Ise Neelaam Karna Chati Hun

Mein Apni Umer Ke Saaray Asaasay
Tumhary Naam Karna Chahti Hun

Tumharay Khaima_E_Khushbuu Mein Reh Kar
Mein Subaah _o_shaam Karna Chahti Hun

Charaaghon Se Hawaa Ke Dushmani Hai
Ise Naakaam Karna Chahti Hun 



Comments

Popular Posts