Tu Har Ek Baat Pe Hans Deti Hai


Tu Har Ek Baat Pe Hans Deti Hai
Aur Mai Soch Mai Par Jata Hun
Yeh Teri Saada-O-Masoom Hansi
Aankh Ki Bhool, Sama’at Ka Fasoon
Teri Aadat, Tera Andaaz Na Ho
Be-Takalluf Tere Honton Ki Chatak
Meri Khush-Fehmi Ka Ejaaz Na Ho
Mai Saraabon Ko Bhi Dariya Samjhun
Tu Faqat Shauq Ki Parvaaz Na Ho
Tu Har Ek Baat Pe Hans Deti Hai
Aur Mai Soch Mai Par Jata Hun
Yeh Teri Saada-O-Be-Baak Hansi
Mai Jisey Khuwab Se Taabeer Karun
Wo Haqeeqat Mai Koi Raaz Na Ho
Tere Be-Saakhta Hansne Ki Adaa
Teri Tanhaai Ki Awaaz Na Ho
Mai Jisey Husn-E-Tabiyat Jaanun
Tere Jazbaat Ki Gham’maz Na Ho
Tu Har Ek Baat Pe Hans Deti Hai
Aur Mai Soch Mai Par Jata Hun
Yeh Teri Saada-O-Pur’kaar Hansi
Meri Duniya, Meri Hasti Ka Sukoon
Kisi Toofan Ka Aghaaz Na Ho
Mai Mohabbat Ki Talab Ka Maara
Tu Faqat Husn-E-Nazar’baaz Na Ho
Yeh Na Ho Mai To Soamber Jeetun
Aur Tere Qasr Ka Darbaar Na Ho
(Ahmed Faraz)

Comments

Popular Posts