Ta'aluq iss Tarha tora nahi kertay

Ta'aluq iss Tarha tora nahi kertay
Ke phir se jorna dushwaar ho jaye
Hayaat ik zeher main doobi howi talwaar ho jaye
Mohabbat is tarha chora nahi kertay
Khafa honay ki rasmain hain
Bigerrnay ke tarikay hain
Rawaj-o-Rasm-e-Tak-e-Dosti pe so kitabain hain
Rawadaari ka hargiz raasta chora nahi kertay
Ta'aluq iss tarha tora nahi kertay
Kabhi bulbul gulon ki khamoshi say rooth jaati hay
Per aglay saal sab kuch bhool ker phir lout aati hay
Sabhi bhanwron ko, Gull herjayii kehtay hain
Magar thori si zidd ke baad bandhan khol detay hain
Kabhi podon say paani door ho jaye
To hamsaya darakhton ke haath peghamaat jatay hain
Mohabbat main sabhi ik doosray ko aazmaatay hain
Magar aisa nahi kertay
Ke her umeed, her imkaan mitt jaye
Kahan tak khenchni hay dorr ye andaza rakhtay hain
Hamesha chaar dewaari main ik darwaza rakhtay hain
Judaayii mistaqil ho jaye
To ye zindagi zindaan ho jaye
Agar khushboo, Hawaoon say marasam munqata'a ker lay
To khudd main doon ker be-jaan ho jaye
Sunoo..!!!
Jeenay say moun moraa nahi kertay
Mohabbat iss tarha chora nahi kertay
Suno Janaa..!!
Agar naraz ho ,to main manati hoon
Magar dekho
Kisi bohot bhalay shayer nay
Shaed apnay lafzon main kaha tha ke
Agar Hum na rahay to... Kon phir Tum ko manaye ga
Chalo ab maan bhi jao naa
Ke Ranjissh Raabton ko munqata'a kernay main maahir hay
Suno Janaa..!!
Agar naraz ho to main manati hoon

Comments

Popular Posts