Maine dekha the un dino men usay

Maine dekha the un dino men usay
jb wo khiltay gulab jaisa tha
uski palkoon se nend chhanti thi
uska lehja sharab jaisa tha
uski zulfon se bhegti thi ghata
uska rukh mahtab jaisa tha
log parhte thay khaal o khad us k
Wo adab ki kitab jaisa tha
Bolta tha zuban khushbu ki
Log sunte the dharkano men usay......
Maine dekha tha un dino men usay
Sari aankhen theen aaynay us k
Saare chehray men Intikhaab tha wo
sb se ghul mil k ajnabi rehna
Ek daria numa saraab tha wo
Khwaab ye hai k wo "Haqeeqat" tha
ye haqeeqat hai koi khwab tha wo
dil ki dharti pe aasman ki tarah
surat-e-saaya o suhaab tha wo
Apni neendein uski nazr hueen
maine paya tha rat-jagoon men usay
Maine dekha tha un dinoon men usay
Jb wo hans hans k baat krta tha
Dil k khaimay men raat krta tha
rang parhte thay aanchaloon men usay
Maine dekha tha un dinoon men usay..............
Ye mgr dair ki kahani hai
Ye mgr door ka fasaana hai
Us k mere milaap men haayl
ab to sadion bhara zamana hai
Ab to yun hai haal apna b
dasht-e-hijraan ki shaam ho jaise
Kia khbr in dino wo kaisa hai?
MAINE DEKHA THA "UN" DINO MEN USAY......!


Comments

Popular Posts