Na Wo Milta Hai Na Milny Ka Ishara Koi

Na Wo Milta Hai Na Milny Ka Ishara Koi.!
Kesy Chamky Ga Umeed Ka Sitara Koi..?
.
Had Se Ziyada Na Kisi Se Bhi Muhabbat Krna.!
Jaan Leta Hai Sadaa Jaan Se Pyara Koi...!
.
Be-Wafai K Sitam Tum Ko Samjh Aajaty.!
Kaash Tum Jesa Agr Hota Tumhara Koi.!
.
Chand Nay Jaagty Rehnay Ka Sabab Poocha Hai.!
Kya Kahain Toot Gaya Khuwab Humara Koi.!
.
Sab Tal'luq Hein Zarort K Yahan Per Mohsin.!
Na Koi Dost, Na Apna, Na Sahara Koi...!!




Comments

Popular Posts